People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Mujhse Pehli Si Muhabbat
Music: Mekaal Hasan
Lyricist: Faiz Ahmed Faiz
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/urdu/Coke-Studio-Season-10-Episode-3/Mujh-Se-Pehli-Si-Muhabbat/IBkO
Video:
Mujh se pehli si muhabbat
Mere mehboob na maang (x4)

Beloved, don’t ask me to
Love you as I loved you before

Maine samjha tha ke tu hai to darakhshaan hai hayaat
Tera gham hai to gham-e dahr ka jhagda kya hai

I had assumed that as long as I have you, life is radiant
What anguish in the world could possibly rival the anguish of being without you

Teri soorat se hai ‘aalam mein bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siva duniya mein rakkha kya hai
Teri aankhon ke siva duniya mein rakkha kya hai
Tu jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
Yoon na tha main ne faqat chaaha tha yoon ho jaaye

Your face is what lends permanence to springtime in this world
What is there in the world except for the beauty of your eyes
What is there in the world except for the beauty of your eyes
If I gain you, destiny would bow down before me
It wasn’t so, I had merely wanted it to be so

Haan.. Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang
Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang

Beloved, don’t ask me to love you as I loved you before
Beloved, don’t ask me to love you as I loved you before

An-ginat sadiyon ke taareek baheemaanah talism
An-ginat sadiyon ke taareek baheemaanah talism
Resham-o atlas-o kam-khaab mein bunwaae hue
Ja-ba-ja bikte hue koocha-o baazaar mein jism
Khaak mein lithde hue khoon mein nahlaaye hue

The dark and savage enchantment of countless centuries
The dark and savage enchantment of countless centuries
Woven into silk and satin and brocade
Bodies everywhere being sold in lanes and marketplaces
Caked with dirt and bathed in blood

Lauṭ jaati hai idhar ko bhi nazar kya keeje
Ab bhi dil-kash hai tera husn magar kya keeje
Ab bhi dil-kash hai tera husn magar kya keeje
Aur bhi dukh hain zamaane mein muhabbat ke siva
Raahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siva

My gaze returns here as well, what can I do?
Your beauty is still enchanting, but what can I do?
Your beauty is still enchanting, but what can I do?
There are many other sorrows in this world besides the sorrow of love
There are many other delights besides the delight of union

Mujh se pehli si muhabbat
Mere mehboob na maang (x5)

Beloved, don’t ask me to Love you as I loved you before
Jiya Dole Kisi Ke Khayal Me
Music: Shaukat
Lyricist: J.Nakshab
Album: Aaiye - 1949
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aiye/Jiya-Dole-Kisi-Ke-Khayal
jiya dole ho jiya dole jiya dole ho jiya dole
kisi ke khyaal me jiya dole
panchi phadhke o panchi phadhke
panchi phadhke o panchi phadhke
jiya dole ho jiya dole
kisi ke khyaal me jiya dole

tumko paaya to pate hi dil kho gaya
aankho aankho me kya jane kya ho gaya
ab se pahle to ab se pahle to
dil to na tha iss haal me jiya dole
kisi ke khyaal me jiya dole
jiya dole ho jiya dole jiya dole ho jiya dole
kisi ke khyaal me jiya dole

aankho aankho ka
aankho aankho ka ye mel hota raha
baaji lagti rahe khel hota rahe hum to filhal
hum to filhal mohabbat ke jaal me

panchi phadhke o panchi phadhke
panchi phadhke o panchi phadhke
jiya dole ho jiya dole jiya dole ho jiya dole
kisi ke khyaal me jiya dole